🐂This might be the final BULL-run.
Before the expected bearish scenario. Simplified technical analysis of bitcoin chart.
This could be the last Major Bull Run before the most awaited Bearish market.
Ye kehne hain Crypto-Rover ke—on X.
Or is ko back karne ke lie ye raha market analysis:
Sar chakra gya dekh kar? Well…(Ye abhi adha hai)…
Main ye sara tumhare sath ese hi share kar deti, but you would’ve run away.
Is lie hum wo karain ge jis ke lie hum jane jate hain.✋🏼-😌
Is ko kaat chaat ke simple tareeqe main tumhain tumhare matlab ki update dete hain.
So, here’s what you will get to see in today’s issue:
Crypto Rover Predicts Final Bull Run Before Bear Market
Crypto market manipulation schemes ab coordinate ho rahi hain.
Bhutan launches tourism crypto payments with Binance Pay and DK Bank
Is ka Crypto Market ke Scene main kya matlab hai?
BTC ka rate:
Kal Bitcoin ki price $94,438.41par trade kar rahi thi with a 2.3% increase over 24 hours, trading volume or on-chain accumulation rise ho raha tha.
BTC ka trade volume Binance pe 18% increase hua— $2.1 billion.
Is ki 2 hi reason ho sakti hain…🤔
Ke log ya toh profit le rahe hain, ya naye log market mein aa rahe hain.
Lekin tumhain kese pata chale ga ke ab bearish market start ho sakti hai?
Well, filhal toh speculations hain but…
Macroeconomic factors, jese barhta hua interest rate or inflation rates, bearish market ke sentiments ko or barha rahe hain—
despite short-term market gains.
Also—
Market sentiment shift ho rahe hain with a 20% drop in bullish mentions and a 30% increase in bearish keywords on social media platforms.
Trading ka Asar: Kya Socha Jaye
Short term main dekho toh:
Agar Rover sahi hai, toh yeh mauqa ho sakta hai profits lock karne ka (BTC/USDT, ETH/USDT etc.).
2. Market liquidity is high hai.
BTC/USDT ka bid-ask sirf 0.05% ka difference — matlab quick entry/exit possible hai.
3. Altcoin Scene:
Solana $145 pe tha (3.5% upar), lekin iska volume BTC se bohot kam hai — log safer assets pe ja rahe hain (jaise BTC).
Technical Analysis .
1. RSI (Relative Strength Index):
BTC ka RSI 62 hai (overbought zone mein), correction aa sakta hai.
ETH ka RSI 58 — neutral ke qareeb.
2. MACD:
Bullish crossover hua hai, lekin strength kam ho rahi hai (histogram bars down).
3. Volume spike:
BTC ka combined spot trading volume (Binance + Coinbase) $3.5 billion — 22% zyada previous day se.
4. AI tokens (jaise Fetch.ai - FET):
Price $0.85 (+4.2%) aur volume 30% barha.
Yeh jump NVIDIA ke earnings se linked hai — AI hype chal raha hai.
5. BTC Dominance:
Abhi 58.3% pe hai — jab yeh barhta hai, altcoins weak ho jaate hain
Aakhri Warning Points:
BTC agar $ $94,438 se neeche gaya — samjho correction confirm ho gaya.
AI tokens mein mauqa hai, lekin BTC ke saath correlated hain (0.78 correlation score) — woh bhi neeche ja sakte hain agar BTC gira.
Bhutan has launched a tourism crypto payment system
Bhutan mano ya na mano, lekin crypto adoption main bohat tez chalta hai.
Or ab duniya ka pehla national level crypto tourism payment system bhi bana chuka hai.
With a partnership with Binance.
Lekin is se Bhutan kya gain kar sakta hai wo jan lena zyada important hai.
Is deal se small businesses direct payment le sakein ge through QR scan.
Or travelers bhi currency exchange se jan chura sake ga.
The system enables tourists with Binance accounts to pay for services using over 100 crypto assets, including Bitcoin, USDC.
Until then, take care and keep Pakistan in your prayer.
Signing off,
Team Inspired Analyst.