⚰️The Internet is Dying...
AI is writing articles detected by AI tools, reported by AI bots and tweeted by AI accounts. Are we in the end time fr?
Jumma Mubarak, Hustler, This is Inspired Analyst Newsletter.
Your go to place to debunk the AI fluff, with a cup of chai.☕
So, let’s be real now…
AI is here, even better now!
Aur hum sab ka program Warr Chuka Hai…
Maybe abhi nahi but soon, it will.
Aur jis baat ka darr tha wahi hua…
Internet is dying!
So… Oxford researchers have confirmed something…
Wo internet jise tum or main jante hain, is almost dead.
Ye hai line X ki aik post ki jis main is chart👇 ka reference liya gya hai:
Jis ke mutabiq… pehli dafa AI written news articles ki tadaad Human written articles se zyada ho chuki hai.
Aj se sirf 5 saal pehle tak ye chart 100% Human or 0% AI tha..
Lekin sab kuch badal gaya November 2022 main…
Jab ChatGpt launch hui.
Or isi post main aik jagah kaha hua ke agle saal tak AI written Content 90% se uper chala jaye ga…
Or phir thora sa agey isi post main likha hai ke:
“Asal crisis start hon ge model collapes hone par”
Lo gee…
Wese dead internet theory bhi to yahi kehti hai na ke:
“Most of the internet is run by bots and AI automation”
Lekin agar tum Expert POV se dekho to…
Ye model collapse ka crisis real nahi hai…
Because:
Model collapse is widely considered not a real problem.
2023 ke sare models abhi tak khare hue hain, If collapse was an issue… It would’ve happened long time ago.
But here’s the thing…
Upon further research, I found out that this article was not EVEN written by Oxfrord???
This is written by SEO company jo AI use kar ke detect karti hai ke articles AI se likhe hue hain ya nahi?
Or in ke apne article ke mutabiq “AI detect karna almost impossible hai”
Is company ke paas aik puri excel sheet hai over 6000 ese articles ki jo 100% AI se likhe hue hain. Jinhain inke algorithms ne detect kiya.
Lekin is article main aik key detail missing thi…
Or wo ye ke…
AI se articles jitne marzi likhwa sakte hain…
But unhain par kon raha hai?
They are only useful if they are pulling in people to read them as well.
Aur sone pe suhaga check karwaun?
Ye tweet jante ho kis ki thi?
It was written and posted by AI Perplexity.
Means that ke AI bot account, AI ko use kar ke real insaano main darr phela raha hai…
Or us ke claims ki koi gurantee bhi nahi hai at all the times.
So, tumhain hamara (Humans) ka future kesa nazar aa raha hai?
Signing Off,
Team Inspired Analyst.
P.S.
Watch this video if you don’t want to get attacked with another “Historical liquidation event“ again.









