😲Ethereum Will Reach $15K by the end of 2025?
Talks are going on! But what really is going on? Let's see the week in round up.
Areyyy… Ruko bhai.
Is se pehle ke tum Investing ki sab se bari 150K members wali all-in-one place community main ja kar…
Ethereum… Ethereum Kahan hain?
Ye sab karne lago.
Wo bhi is link se…
Us se pehle is baat ko verify toh kar lain.
Kya jo X par halchal ho rahi hai ke Ethereum ke bare main.. un ki koi base bhi hai?
Ethereum will break Records?
Well… Fundstrat ne kaha hai ke Ethereum (ETH) 2025 ke end tak $12,000–$15,000 tak ja sakta hai.
💡Fundstrat ek US-based research aur advisory firm hai jo stocks, crypto aur macro markets ke liye bold predictions aur analysis karti hai.
Ab ye keh rahe hain ke AI-driven blockchain adoption, Wall Street ki RWA (real-world asset) tokenisation, aur stablecoin regulation jaise catalysts is rally ko support kar rahe hain.
Lekin kese?
ETH ne 30 din mein 60% pump karke $4,770 touch kiya (near ATH).
RWA tokenisation ka 55–60% share Ethereum hold kar raha hai.
Institutional flows tez ho rahe hain…ETF inflows record-torr rahe hain.
Technicals overbought: MACD bearish, RSI high, volume slip ho raha hai
💡: RSI (Relative Strength Index):
Ye ek indicator hai jo batata hai ke market zyada overbought hai ya oversold.
💡: MACD (Moving Average Convergence Divergence):
Ye ek trend-following tool hai jo dekhta hai ke price ka momentum upar jaa raha hai ya neeche.
‘So… Main kya samjhun is se ab?’
Ye sab predictions abhi speculations hain.
Fundstrat ka long-term bullish case strong lagta hai, magar short-term mein agar ETF flows aur regulatory support stable raha, tabhi $12K–$15K realistic ho sakta hai.
So…
Over-enthusiasm se bachna zaroori hai.
Keep an eye out always.
Yes! Keep an eye out for…
What is our government doing in Japan?
Well… CM Punjab and some other ministers were in Japan, and unhon ne Yokohama ke sewerage water treatment plant ko dekha ke wokese kaam kar raha hai.
Lekin Kyun?
Maybe Lahore main lagayen ge?
‘Lekin hamari crypto walon ko is se kya?’
‘Ye to news main hai all over.’
Han bhai… tha news main.
Lekin..
Kya ye tha new main?
Pakistan is officially stepping into the digital currency era!
The State Bank has partnered with the Japanese blockchain firm Soramitsu to develop a pilot for the "Digital Rupee."
The CBDC will even work offline, helping people transact without internet access.
A major step toward modernising payments for millions.
Freelancers ki toh eid hogi!!😜👏
Lekin tab tak Freelancers hi na rahe to? 💀
Elon Musk ki full try hai ke esa ho!
Us ke Project Collosal AI 2 ki specification dekhi hain?
Nahi?
Ajao beta main dikahati hun apko…
Sneak Peek into Colossus 2
It will host over 550k GB200s & GB300s in just a few weeks!
So here’s a sneak peek:
Sabse tez build: Sirf 122 din mein duniya ka sabse bara AI supercomputer construct kar ke engineering world ke liye record speed rakh di.
GPU expansion: Start 100,000 GPUs se hua, phir 200,000 tak gaya, aur ab target hai 1 million GPUs. Ye scale unprecedented hai.
Compute power: Abhi 230,000 GPUs chal rahe hain (30,000 Blackwell GB200s ke sath). xAI ka goal aglay 5 saalon mein 50 million H100-class GPUs deploy karna hai, jiska matlab 50 exaFLOPS computing power.
Reasoning power: Is supercomputer par train hua Grok 3 model chain-of-thought reasoning aur DeepSearch jese features enable karta hai. Ye GPT-4o level ke benchmarks pe compete kar raha hai.
Strategic race: Ye infrastructure Elon Musk ki xAI ko OpenAI, Google aur Meta ke sath direct competition mein la raha hai. Colossus ki massive compute aur real-time X data access isay unique edge deti hai.
Ab In tech gurus ke competition main aisi aisi skills ko ye AI khayein ge ke pissna is main 9-5 wao or only one income stream walo ne hai.
Lekin agar wo 9-5 wale roz ka 1 ghanta bhi nikalein or kisi achi source se crypto or investment market main invest karna seekh lain…
Or apne liye aik secure future banane ki taraf sirf aik step har roz lain to wo is roadroller ke neeche ane se bach sakte hain.
Yahan par:
Choice is always yours.
Until then,
Ariba—Team Inspired Analyst.
Signing off.
Very nice Information