Happy Friday, Hustler.
Crypto ki duniya main is time koi khamoshi aur aqalmandi se move kar raha hai.
Or is ke moves shaid tumhain familiar bhi lagein…
Bilkul Rajnikaant ki movie Sivaji ki tarah.
Han jese Sivaji se uska bana bnaya empire cheen liya tha or baad main us ne dimagh use kar ke sab kuch scratch se khara kiya…
Ye kahani hai duniya ke sab se bare stablecoin Issuer:
Tether ki.
Kind of.
Kyun ke tether apni success ko bacha raha hai khatre se.
Toh recently kuch legal phadde (mica Compliance) ki wajah se tether ke under ane wale coins or currencies EU main delist hona shuru ho gaye.
Or un main ata hai THE famous USDt.
But only in Europe. Which is still a large market for tether.
So ab tum check karo ke tether move kese kar raha hai.
Ab EU main wo risk nahi le raha cheezo ke theek hone ka wait kar ke…
Rather, ye aik Full Fledge SDK (Software Development Kit) or multiple AI Applications ko release karne wala hai.
Ye is ki success ko stable rakhne ke plan ka pehla step hai.
or dusra bohat bara step is ne liye hai DUBAI main.
Ab tether sab jante hain kitna huge hai. Lekin 2024 main is ne growth ke record tor diye with $13B in profit. Or is ke pas US Government ke Bonds ki sab se bari stockpile hai.
Tether duniya main market cap ($ 141 billion) ke lehaaz se world’s third largest cryptocurrency hai.
Or
is time EU se focus kam kar ke ye apni base kahi or bana raha hai.
🤯 Tether in Middle East.
G han… Tether ne ab Reelly tech (ye 30,000 Real estate agents ko across UAE connect karta hai or internationally ) ke sath partnership kar ke aik bara use case introduce kiya haio USDt ka.
You can now buy and sell Real Estate and make transactions in USDt.
par zahir hai har koi crypto ke bare main itna educated nahi hai yahan jitna EU main hain.
That’s why Tether or Reelly Tech mil kar aik educational series bhi start karein ge taake zyada se zyada log ye sevice use karein.
Aik taraf tether ne 2024 main record-breaking profit banaya or doosri taraf UAE ke Real Estate sector ne bhi 27% growth ki 283 billion AED increase ke sath in 2024.
So, now the partnership makes sense.
but that’s just one part.
Maze wala hissa toh ye hai.
ab expected hai ke or bare AI projects middle east main invest karein ge.
Or crypto or AI projects main bhi.
so if you want to stay ahead and don’t miss your GOLDEN chance to invest in these Crypto/ AI projects…
Toh ye hai tumhara rasta»»
🔥 Tether, AI ka Master.
Tether ne aik garam garam update di hai.
Creating it’s own AI Apps.
Han, koi aik AI model nahi but multiple in one go.
AI Voice Assistant, AI translate, and most importantly…
AI Bitcoin Wallet Assistant.
Ab ye socho ke just like chatgpt tum aik chatbot se baat kar rahe ho…
us se sawal puch rahe ho jese tum normally Chatgpt se puchte ho apni assignments submit krwane se 30 minute pehle.
Han lekin is chatbot ya “Payment Agent” se tum apne BTC Wallet ka adress puch sakte ho.
Ya ise aik command de kar apne contacts main se kisi ka bhi adress le kar use BTC send kar skte ho.
And It’s all through a chat.
ese…
Or jo ye apna SDK release kare ga.. use open source rakhe ga.
means fully customizable.
Or har device par chale ga mast!
Laptop, PC, Phones or servers par.
par abhi release nahi hua so still we don’t have a clear idea about all of it’s features…
or is announcement ke baad bare bare crypto projects bhi AI main invest kar sakte hain.
Agar tum missout karna chahte ho to ye button press mat karna. 😶
Signing Off,
Areeba—Team Inspired Analyst.