Hi, Hustler!
Aj jumah ka din hai sab log wind up kar rahe hain apne week ko.
Is lie main ne socha aj hum bhi aj crypto main hone wale kamo ko unwind karein ge.
Aur is newsletter ke end main aik secret gift hai ap ke lie.
Today, It’s all going to be some of the best updates from the crypto market.
Toh aj ke topics main included hain:
DeepSeek's AI Could Be Bitcoin's Best Friend
Trump's Campaign Manager Joins Coin Base's Power Circle
Trump's Memecoin Gets Real-World Use
Bitcoin's Surprising Price Prediction
Europe's Stablecoin Shakeup Begins
Bitcoin ab dubara $104k se upper aa chuka hai. aur is dafa ise AI se koi khatra nazar nahi aa raha. Filhal.
DeepSeek ke hatho jhatka khane ke baad jab Bitcoin $100K se niche gira toh sab ke saans ruk hgaye the. Aur sab hi Fed’s ke agle step ka intezar kar rahe the…
Lekin Fed’s ki taraf se khali hawa, no news. Lekin thankfully, Fed’s ke rates ko stable rakhne ke faisley ne market ko Kind of— bacha lia.
Aur phir dekhte dekhte, soon Bitcoin ne $102K ke mark ko cross kr ke fast recovery ki , jo ke agar tum dekho toh AI ke jhatke kafi tez thi.
Toh? Kya wajah rahi ho gi itni fast recovery ke peeche?
Let’s unpack:
Deepseek Bitcoin ka Bestfriend bane ga?
Bitcoin ko AI se khatra nahi hai?
Hmm… Esa aap ne bhi suna hai kaheen?
Asal main Standard Chartered ki sab se latest report ne aik bari interesting cheez reveal ki hai.
AI vs Bitcoin ke narrative main.
Dekho, abhi sab ko Deepseek ki breakthrough se Crypto ko hone wale khatre ki bohat fikar hai.
Lekin guess karo ke bank ak analysis kya keh raha hai? 🤭
Maybe… It could Push Bitcoin Higher.
Aur is ka reason bohat simple hai.
Ab tumhain to pata ho ga ke deepseek ki AI ko approach bohat efficient hai, Low computing costs, which means lower inflation.
Aur Low inflation environment main kon sahi perform karta hai?
Assets like Bitcoin jin main AI ka ZERO exposure hota hai.
Aur ab nayi Bitcoin price predictions bhi ane lagi hain market main.
We’ll discuss it another day, but for now, did you know…
Aik Important news?
Keep an eye on every move that CoinBase will make from now on.
Kyun ke…
Trump ke Campaign Manager ne CoinBase Ke Power Circle ko Join kar liya hai?
CoinBase ne abhi aik bohat strategic move lia hai. Agar tum ne nahi suna toh unhon ne Chris LaCivita - Trump ke 2024 co-campaign manager ko apne global advisory council main add kar lya hai.
Let me simplify:
Chris LaCivita Trump ka banda hai, uski election campaign chalata tha. Ab Coinbase ne usko apni advisory council mein daal dia.
Matlab yeh hai ke Coinbase politics ko apne faide ke liye use kar raha hai, taake crypto ke rules aur policies apni marzi ke mutabiq set karwa sake.
Sai Politics samajh toh is saal aa rahi hai😶.
Aur suno.
LaCivita akela nahi aa raha.
Former Senator Kyrsten Sinema, ex-New York Fed President Bill Dudley, and Allen & Co.'s Luis Alberto Moreno are joining him.🤯
Scene yeh hai ke Coinbase ka SEC ke sath case abhi hold pe hai, nayi government ke aane ke baad.
LaCivita khul kar bol raha hai ke U.S. ko crypto ka leader banana chahiye, purani hukoomat ke stance ko seedha challenge kar raha hai.
Toh abhi ke lie is case ko close samjha jaye?
Just like Trump’s Meme coin 10 days ago?
Lekin us ka toh comeback ho gya hai.
Haan!
Trump's Memecoin Gets Real-World Use.
TRUMP token ab sirf meme nahi raha—😅ab is se Trump ke branded sneakers, watches, aur perfumes kharid sakte ho, teen alag websites par.
700,000 holders pehle hi isko pakar chuke hain, magar asli game yeh hai ke Trump Media Group ab financial services aur crypto investments me ghus raha hai.
Toh TRUMP token ab waqai utility token ban gaya?🤔 Lagta toh aise hi hai!
Ap ko kya lagta hai?
Kya ye kabhi Bitcoin ke nazdeek aa sake ga future main?
Ese garma garam khabrein diya kare ga? 👇🏼
Bitcoin's Surprising Price Prediction:
Ab jese pehle bhi aik dafa ye btaya tha, ke…
Possibility hai ke Bitcoin $75K tak ja gir sakta hai April se pehle, magar chance sirf 9.2% hai— is lie ghabrana nahi abhi.
Asal main Implied volatility 52% se 76% tak chali gayi hai recently, iska matlab traders downside se bachne ki koshish kar rahe hain.
BitMEX ke Arthur Hayes ka kehna hai ke ek "mini financial crisis" aayega, jo baad mein Bitcoin ko $250K tak le ja sakta hai.
Magar sawal yeh hai—yeh $250K kab hoga?
So, be aware and check kiya karo charts ko.
Europe's Stablecoin Shakeup Begins.
Agar aap regularly hamara newsletter parhte ho toh…
Ap ko pata ho ga ke…
Main ne aik FUD par lambi report likhi thi… kese Europe. ONLY Europe main USDT ko khatrah hai disqualification ka…
Toh aj Europe mein stablecoin ko bada jhatka lag gya hai!
Crypto.com ne USDT aur 9 aur tokens hataane ka faisla kar liya hai—deadline di hai sirf 31st Jan. Matlab aaj.
Sirf Tether nahi, balki Wrapped Bitcoin aur DAI bhi list se out ho rahe hain.
Users ke paas 31st March tak ka time hai inhe MiCA-compliant coins mein convert karne ka.
Jo nahi kare ga wo gate se seedha bahir.
Jese abhi main jaa rahi hun.
GoodNight. 😴
Oh, and BTW, abhi saal ke shuru main crypto ko lagne wale jhatko ke lie tayyar rehna hai? 😬
Toh…
Abhi aa kar seat book karwa lo.
Signing Off,
Areeba—Team Inspired Analyst.
Trump was planning for crypto push but china have different plans 😂
Kia AI coins like aixbt griffain Ai16z bounce back karen ge