Ramadan Mubarak, Hustler!
Finally…
We’re back! After a long pause.
Lekin ab se tumhain crypto or AI ki har advance technology ki latest updates milti rahein gi without Interuption, Inshallah.✨
Jese ke ye update jis ne mujhe thora sa hila diya tha a while ago.
What is the future of hard-working Content Creators like us?
…and Pakistani Vloggers?
And another surprising news…
Someone lost $1.5 billion. And it’s one of the largest companies that you also know of.
I’ll tell you who it is at the end.
Lekin abhi kuch bohat important baat ki taraf ate hain.
Toh bhai, AI ab perfect hath banane lag gya hai!!! 🙆🏼♂️
Look at this comparison!
Yaad hai wo din jab tum chatgpt ko aik figure genrate karne ka kehte the or wo aik cheez ko totally mess up kar deta tha?
Specially Hands.
Insaano ke hath banane ka kehte toh kisi or duniya ke aliens ki portrait bana deta tha.
Lekin ab esa kuch nahi hota. Ab AI kafi speed se apni galtiya theek kar rahi hai.
Or kyunke bohat sare naye or advance video or image generation AI tools har roz market main aa rahe hain, or competition start hai.🔥
Toh ab us se aik khatra bhi toh hai na…
Kl parso main ne youtube par aik bande ki video ka thumbnail dekha…
Jis main us ne pura aik mahina AI se videos bnai or kisi ko pata hi nahi chla.
Koi bhi AI video generate kar sakta hai… Acchi ya buri and… Logo ki intentions toh phir sirf Allah janta hai.
Ab ese main hum kese verify karein ge ke kya asal hai or kya AI generated?
Is baat ki verification ke lie kya koi AI Agent nahi hai?
Or—
😶 Kya Content Creation khatam ho jaye gi?
Well…
Google ne shayad is ka hal nikal liya ho…
Lekin kya wo solution strong hai?
Ye jan’ne ke liye, you will have to keep on reading.
Google has released watermarking for AI.
Lekin ye wesi watermarking nahi hai jesa tum soch rahe ho.
Ab is nayi google technology ka naam hai:
SynthID.
Or is ke 2 purpose hain.
Ye watermark add akr sakti hai.
Or
Un watermarks ko detect karti hai.
Ab is ke liye ye watermarks detect karna zyada important hai kyunke wo hum insan normally nahi dekh sakte.
Par ruko. Abhi aik or baat toh batai hi nahi.
Issues:
Ab is tech ka fundamental issue ye hai ke AI company ke paas choice hai, ye unpar depend karta hai ke ya to wo ise apne models main daal dein ya rehne dein.
Or is ke 2 masle hain.
Google jis ne ye technology banai hai, us ne ise apne sare Generative models main SynthID integrate kiya hai.
Lekin—Dusri AI companies is ko simply apne models main chahe na daale…
Kyun ke dekho na.
Aik customer ke pas choice hai ke wo watermarked content choose kare ya non-watermarked.
Toh Zahiri si baat hai ke wo non-watermarked content hi use kare ga.
Number 2:
Agar esa law ban jaye jis main sari companies ke models required hon ke wo watermark system integrate karein…
Phir bhi kuch log dandi maar lein ge.
Jugaar—as we Pakistanis call it. 😁
wo kuch log (not Pakistani necessarily) wo kuch na kuch kar ke watermarks se bach jayein ge..
Because of…
Open Source Code.
AB companies like Meta ne apne models open-source banaye hain.
Jis ka matlab hai ke koi bhi wo code dhund kar ke use apni machines par run kar sakta hai.
Kyun ke un ke pas sara code available hai.
Ab ye log kya karein ge?
Wo is sare code jis par major models like ChatGPT or Google chal rahe hain, or is main se thora sa open source code le kar watermarks ko nikal dein.
Toh is tarah log koi loophole nikal hi lain ge even if aik law keh raha hai ke har open source code main us ka watermark hona chahiye.
Kuch logo ko farak hi nahi pare ga, they will remove the code for watermarking.
Lekin phir bhi shukar hai ke esi technology exist kar rahi hai…(Or shayad or development bhi ho is main)
But for now, hum surely nahi bata sakte ke content AI Generated hai ya nahi.
Tumhain kya lgta hai?
Kya Conent Creators struggle karein ge is advancement ki wajah se?
Signing Off,
Areeba—Team Inspired Analyst.
P.S.
Crypto Ki market main se $1.5B chori ho gaya or tumhain kisi ne btaya nahi?
Or kisi ne bhi market ke crash hone par kuch nahi bataya ke karna chahiye?
Koi baat bahi…
We’ve got you covered.»